dreamer

dreamer

Monday, November 30, 2020

 

tuu paas bhi ho to dil beqaraar apnaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apnaa hai
mile koi bhi teraa zikr cher dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apnaa hai
wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai

 

 

Nazm: Khwaab Martay Naheen
(Dreams Do Not Die)

Khwaab maratay nahii.n
Khwaab dil hai.n, na aa.Nkhe.n, na saa.Nse.n ke jo
rezaa, rezaa huwe to bikhar jaaye.nge
jism kii maut se ye bhii mar jaaye.nge

Khwaab maratay nahii.n
Khwaab to raushanii hai.n, navaa hai.n, havaa hai.n
jo kaalay pahaa.Do.n se rukatay nahii.n
zulm kii dozaKho.n se bhii phukatay nahii.n
raushanii aur navaa aur havaa ke aalam
maqtalo.n me.n pahu.Nch kar bhii jhukatay nahii.n

Khwaab to harf hai.n
Khwaab to nuur hai.n
Khwaab suqraat hai.n
Khwaab mansuur hai.n

Dreams do not die.
Dreams are not heart, nor eyes or breath
Which shattered, will scatter (or)
Die with the death of the body.

Dreams do not die.
But dreams are light, voice, wind,
Which cannot be stopped by mountains black,
Which do not perish in the hells of cruelty,
Ensigns of light and voice and wind,
Bow not, even in abattoirs.

But dreams are letters,
But dreams are illumination,
Dreams are Socrates,
Dreams - Divine Victory!'

·       Jaan Mangi Usne to Ye Samajh Kar De Di FARAZ!

Kahin Inkaar k Sadmay Mai Wo Apni Jaan Na De Day!

  • Main us ka hoon ,ye raaz tu wo jan gaya hai “Faraz”!!!
    Wo kis ka hai ye sawal mujhe sonay nahin deta!

 

  • Apne siwa bataao! kuch mila hai tumhein? Faraz ?
    Hazaar baar lein hain tum ne mere dil ki talashiyaan

 

  • Jaane Kis Baat Pe Us Ne Mujhe Chor Diye Hai Faraz!!!
    Main To Mukhlis Tha Kisi Maan KI Duaon KI Tarah
    ——————————————————-
    Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi FARAZ!!
    Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya
    ——————————————————-
    Ab Use Rooz Na Soco To Badan Toot’ta Hai FARAZ!!!!
    Umer Guzri Hai Uss Ki Yaad Ka Nasha Karte Karte!!
    ——————————————————-
    Be-Jaan To Main Ab Bhe Nahi FARAZ…..!!!!!
    Magar Jise Jan Kehte The Wo Chor Gaya
    ——————————————————-
    Zabt e Ghum Koi Aasan Kam Nahe Faraz!
    Aag Hote Hai Wo Aanso, Jo Piye Jate Hain.
    ——————————————————-
    Kyun Ulajhta Rehta Hai tu Logo Se Faraz!!
    Yeh Zarori To Nahi Woh Chehra Sabhe Ko Pyara Lage

 

  • Zara Tum Sham Dhalney Do
    Ke Suraj Ko To Janey Do
    Parindon Ko To Urney Do
    Zara Tum Sham Dhalney Do
    Abhi Tu Asman Ka Rang
    Nikhray Ga
    Abhi Khushbo B Bikhray Gi
    Abhi Mosam v Badly Ga
    Abhi Tu Chand Nikley Ga
    Abhi Manzar Badalney Mein Zra C Der Baqi Hai
    Abi Dil K Sambhalney Mein Zara C Der Baqi Hai
    CHALEY JANA!
    Abhi 2, 4 Pal
    2, 4 Sadiyan Saath Rehney Do
    Mujhy Kuch
    Aaj Kehney Do
    Bas Apney Pas Rehney Do,
    Mujhy Itna To Kehney Do,
    “MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI”

 

  • wo aaye mere zindagi mein
    kahani ban kar.,
    is dil mein rahey
    pyar ki nishani ban kar,
    aksar jinhey hum jagha
    dete hai is dil mein
    wo aankho se nikal jatey hai
    paani ban kar..



Is Se Pehley Ke Bewafaa Ho Jaayen

(Translated by Ayesha Kaljuvee)

is se pahale ke bevafaa ho jaaye.n
before that day we become disloyal
kyo.n na ai dost ham judaa ho jaaye.n
why not, my friend, go our separate ways

tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
you also turned from a jewel to stone
ham bhii kal kyaa se kyaa ho jaaye.n
i too will change to another tomorrow

tuu kay yakta tha bayshumar hoo.ah
you who were lone became ubiquitous
ham bhii toote.n to jabaja ho jaaye.n
when i break, everywhere I too will scatter

ham bhii majabuuriyo.n kaa uzr kare.n
i should also contest my obligations
aur kahii.n aur mubtalaa ho jaaye.n
and involve myself somewhere else

ham agar manzale.n naa ban paaye.n
if i can't become the destination
manzalo.n tak ka raasta ho jaaye.n
let me be the path to that haven

dair say soch mei.n hai.n parwanay
like moths, my thoughts flutter around you
rakh ho jaaye.n, ya hawa ho jaaye.n
should i die in that fire, or fly like the wind

ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa
love is the playground of the fortunate
Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n
to become ash, to be like cinders

ab ke gar tuu mile to ham tujh se
if i meet you again, to you
aise lipaTe.n terii qabaa ho jaaye.n
i will cling as if you were my Mecca

bandagii ham ne chho.D dii hai 'Faraz'
i have left behind religion, Faraz
kyaa kare.n log jab Khudaa ho jaaye.n

now that even humans seem divine

 

 

 

 

  • Badan Me.n Aag Sii chehera gulaab lagta hai

badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
fire in her body, face like a rose
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai
the pathos of this love is intoxicating

kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
such is the closeness that now
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai
even the prospect of her leaving is like a dream

magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii
but somebody should see, should also read
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai
the heart is a mirror, a face is like a book

vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii
she stands in front of me but i still thirst for her
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai
what is this anguish that the ocean seems a mirage

'Faraz' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii
Faraz, let there be wound upon wound
hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai
i love her even if there is only torment here

 

 

Ab Ke Ham Bichha.de toh…

  • AhmedFaraz
    Translated by Ayesha Kaljuvee & Sonia Mansoor

ab ke ham bichha.de to shaayad kabhii khvaabo.n me.n mile.n
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n

If now these feelings we cover, perhaps in dreams shall we meet
As dried flowers are chanced upon pressed softly in books

dhuu.ndh uja.de hue logo.n me.n vafaa ke motii
ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabo.n me.n mile.n

Pearls of loyalty amongst those lost in desolate fogs
In dark misfortune, these treasures you may encounter

tuu fkudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa
dono.n insaa.n hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n

God you are not, nor is my love sanctioned by the angels
Both mortals, why meet then behind such innumerable veils?

gam-e-duniyaa bhii gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n

Add the pathos of love to the great tragedies of the world
Even though its intoxication makes it worthy of worship

aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n

Those conversations that today tore us apart at your door
How remarkable if the cosmos echoed them in other fates too

ab na vo mai.n huu.n na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shakhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n

Now it is neither I, nor you, nor is it the past 'Faraaz'
As if two people came together only in the mirage of desire

RANJISH HI SAHI…….

Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aa
Let it be anguish, come still to torment my heart
aa phir say mujhay chhorr kay jaanay kay liyay aa
Come, even if to leave me again

pehlay say maraasim na sahi phir bhi kabhi to
If not for our past association
rasm-o-rahay duniya hi nibhaanay kay liyay aa
Come to fulfill the rituals of the world

kis kis ko bataayengay judaai kaa sabab ham
Who else must I explain the reason of separation
tu mujh se khafaa hai to zamaanay kay liyay aa
Come, despite your displeasure, to continue the ceremony

kuchh to meri pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Respect a little the depth of my love for you
tu bhi to kabhi mujh ko manaanay kay liyay aa
Come someday to placate me as well

ek umr say hun lazzat-e-giryaa se bhi mehruum
Too long have I been deprived of the pathos of longing
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaanay kay liyay aa
Come my love, if only to make me weep again

FUNNY SHAYARI OF FARAZ

·       In barishon se kaho k mere angan me yun na brsa krein Faraz,

Meri China ki chaplein keechar me phisalti hain…….!! :-D

·       Mai ne kaha k pyar mai kuch bhi kar sakta hon “Faraz”

Us ne muskra k kaha ” humara is dafa bijli ka bill tm dena. :-D

·       (Faraz apne betey ko LARAYI SE ROKTE HUAYE ARZ KARTE HAI…)

GUZARO ZINDAGI AMAN SE NA KARO JANG.

betay ne kaha: DOESNT MATTERs DAD ITS FUN TO BE “YOUNG” :-D

  • Meray EXAM Hain Aglay Hi Mahinay Say Shuru
    Parhnay Bethoon To Mujhey Niind Bohot Aati Hai
    Sirf Kuch Din Kay Liye Mujh Say Koi Pyar Karey
    Ishq Mein Mainay Suna Neend Hee Ur Jatee Hai :-D

PROBABLY THE LAST SHAYARI OF AHMAD FARAZ

Gham-e- Hyat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chale Aao K Dunya Se Ja Raha Hai Koi
Koi Azal Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari
Sunna Hai Aanay Ka Wada Nibah Raha Hai Koi
Woh Is Naaz Se Bethe Hain Lash K Paas
Jaise Ruthe Hue Ko Mana Raha Hai Koi
Palat Ker Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Main
Itne Haseen Hathon Se Maiyat Saja Raha Hai Koi…

 

 

 

No comments:

Post a Comment