dreamer

dreamer

Friday, September 3, 2010

Jiwan ki apa-dhapi (Hustle & Bustle of life)

Jiwan ki apa-dhapi (Hustle & Bustle of life)
Jiwan ki is apa-dhapi mein
Raastey ke dhakka-mukki mein
apnon se door jaati is zindagi mein
paraye ko apna banane ki nakaam koshish mein
na hotey huye v honey ka bhaan kartey huye
hotey huye v na honey ka dhong rachatey huye
karib ko door se dekhtey huye
door ko aur door se dekhtey huye
zindagi ke is chhoti 100 metre ki daud ko
raftaar wali marathon daud mein tabdeil karney ki antahin nakaam koshish kartey huye
daudtey huye magar thoda ruk kar saans v na letey huye
bhagtey huye-magar insaniyat se
'WE ARE THE WORLD' kahtey huye apney WORLD ko zara v na waqt detey huye
ped ki chhanh ko, suraj ki roshni ko,
hawa ko, paani ko-bazaar mein bechtey huye
bina kuch chhore
zindagi ko bazaar banatey huye
khud ko khud se door ley jatey huye
bechney ki aur kharidney ki hor lagatey huye
THE WORLD IS A STAGE sunney ki jagah
THE WORLD IS A MARKET suntey huye
na jaaney kis pyaas ko bujhaney ki
ajib si chhatpatahat liye
bhagtey huye, sokar jaagtey huye,
aur jaagkar v sotey huye
is jiwan ki apa-dhapi mein
jab mera koi apna
pyaar se do-tuk baat karta hai
ya naraaz hi hota hai
jab dekhta hun kisi rotey huye ko koi hansata hai
koi isharey se bulata hai
jab ghulam ali ghazal gata hai
RAY CHARLES jazz mein jab SOUL kehke music banata hai
KANCHANJANGHA ki safed chotiyon ko
suraj apni pehli kiran se jab sehlata hai
bada achcha lagta hai
ehsash hota hai ki
main SAFAR mein hun-Zinda v hun
aur is safar ka maza v le raha hun
bina is darr ke , bina ehsaash ke
ki kab,kahan, kaise ye safar khatm ho
na janey kahan shaam ghir aaye
aur main chal raha hun
chalta hi ja raha hun jiwan ki is apadhapi mein
aur keh uthta hu us gawaiyye LOUIS se
" OH WHAT A AAAAAAA WONDERFULLLLLLLLLLLLLLLLLLLLLLLWORLD!

-narayan gautam, calcutta -5.55 a.m , 3rd september-2010

Jiwan ki apa-dhapi (Hustle & Bustle of life)